London Dreams Songs Lyrics

01 Tapake Masti Song Lyrics

Hindi Song: Tapake Masti
Movie or Album: London Dreams
Singer(s): Feroz Khan
Music Director(s): Shankar-Ehsaan-Loy
Lyricist(s): Prasoon Joshi

(ho masti jaaun si tapake re dar dar ke
mastiyon ki shaakh hila de aaj jashn mana ji bhar ke) - (2)
tapake tapake tapake tapake masti - (2)
loot le tu khoya hai kahaan, jeb mein tu bhar le aasmaan - (2)

(khushiyon ka ras kar ke, nichod le hans kar ke
ghum ki aisi taisi kar aaj jhum le kas karake) - (2)
tapake tapake tapake tapake masti - (2)
loot le tu khoya hai kahaan, jeb mein tu bhar le aasmaan - (2)

chullu se kya pina laga muh se suraahi
manjil bhi hai pyaasi tu vekh garaahi
husn ki aaj laga le tatte, nikala hai mausam bina dupatte
abb na sawal tera hai kal, jhumake nikal
ho masti jaaun si tapake re dar dar ke
mastiyon ki shaakh hila de aaj jashn mana ji bhar ke
tapake tapake tapake tapake masti - (2)
loot le tu khoya hai kahaan, jeb mein tu bhar le aasmaan - (2)

kisi ke hont ki laali ja ragad chura le
husn ko jaake duniya se jhagade utha le
jindagi aayegi khud hi matak ke, jab tu jhumega baal jhatak ke
thumaka laga sochata hai kya mastiyaan luta
ho masti jaaun si tapake re dar dar ke
mastiyon ki shaakh hila de aaj jashn mana ji bhar ke
tapake tapake tapake tapake masti - (2)
loot le tu khoya hai kahaan, jeb mein tu bhar le mastiyaan - (2)

02 Yaara Yari Bina Hai Song Lyrics

Hindi Song: Yaara Yari Bina Hai
Movie or Album: London Dreams
Singer(s): Milind, Roop Kumar Rathod
Music Director(s): Shankar-Ehsaan-Loy
Lyricist(s): Prasoon Joshi

yeh duniya jab leke taraju
tera tol ke bhav bataye

yaarr kahe aa sene se lag ja
duniya bhad mein jaaye

do kahan hai ek hi hai
yaari mein do hote hi nahi
usko kaato dard isko
yaari mein do hote hi nahi
o kache gud si yaari yaari
o meethe pani se pyaari

to aaja jash mana le yaara ve
yaar botle laga le
dil ke andhero ko woh tatole

man ko piyole matka le khole

yaara yari bina hai besuri meri jindagi
yaara yari bina hai besuri hai besuri
besuri jingadi

yari bina hai besuri hai besuri
besuri jingadi

yaara yari bina hai besuri hai besuri
besuri jingadi
yari bina hai besuri hai besuri
besuri jingadi

meri hichkio mein hai woh shamil
mere khawabon mein
meri mausamo mein titliyon ko chhode woh

o mere aasunon ko motiyon si shan bakshe woh
meri basuri mein aake saaasein jode woh

o kache gud si yaari yaari
o meethe pani se pyaari

to aaja jash mana le yaara ve
yaar botle laga le
dil ke andhero ko woh tatole

man ko piyole matka le khole
yaara yari bina hai besuri meri jindagi
yaara yari bina hai besuri hai besuri
besuri jingadi

yari bina hai besuri hai besuri
besuri jingadi

03 Shola Shola Hai Tu Song Lyrics

Hindi Song: Shola Shola Hai Tu
Movie or Album: London Dreams
Singer(s): Zubeen Garg
Music Director(s): Shankar-Ehsaan-Loy
Lyricist(s): Prasoon Joshi

de hava dil ki angithi ko de hawa
aur badha, naaringi sholo ko aur badha
timtimaati lau ki koyi na samajhe jubaan
lapat ban ja tu, badhake chhu le aasmaan
aur jal tu pighal hawa hai tu beh nikal
raahein bana raste bana chal re
(shola shola shola shola... hai tu khoya hai kahaan
rakh de hateli pe angaarein tabhi samjhega jahaan) - (2)
shola hai tu, (shola shola shola shola hai tu.... -4)

ho khaamosh rehane ka abb maisam nahi
le taan unchi dheemi sargam nahi
haar ko tyuahaar kar, dard se sanghaar kar
kaise nahi sunegi yeh duniya
jakhmon ko khol tu chir ke dil bol tu
chaara hai tu naala hai tu, kud ja
(shola shola shola shola... hai tu khoya hai kahaan
rakh de hateli pe angaarein tabhi samjhega jahaan) - (2)
shola hai tu, (shola shola shola shola hai tu.... -4)

o o apani najar ki aahein, jab aayegi
manjil hi pehale palake jhapkaayegi
thokaron mein baat ho toh kankaron ki maat ho
jeet bhi tere saath ho
sar pe kafan tere agar meherbaan har dagar
khaabon pe yakin toh ?? abhi jindagi
(shola shola shola shola... hai tu khoya hai kahaan
rakh de hateli pe angaarein tabhi samjhega jahaan) - (2)
shola hai tu, (shola shola shola shola hai tu.... -4)

04 Mann Ko Ati Bhaave SOng Lyrics

Hindi Song: Mann Ko Ati Bhaave
Movie or Album: London Dreams
Singer(s): Shankar Mahadevan
Music Director(s): Shankar-Ehsaan-Loy
Lyricist(s): Prasoon Joshi

mann ko ati bhaave saiyaan kar ta ta thaiya
mann gaaye re haaye re haaye re haaye re
hum priytam hriday basaiya paagal ho gaiyaan
mann gaaye re haaye re haaye re haaye re
jo maari nain kankariya toh chhalaki prem gagariya
aur bheegi saari nagariya, sab nritya kare sang sang
tore baan lage nas nas mein, nahi praan more abb bas mein
mann duba prem ke ras mein, huwa prem magan kan kan
ho bebe bebe saupa tujhako tan mann
mann ko ati bhaave -2 saiyaan kar ta ta thaiya
mann gaaye re haaye re haaye re haaye re
hum priytam hriday basaiya paagal ho gaiyaan
mann gaaye re haaye re haaye re haaye re
jo maari nain kankariya toh chhalaki prem gagariya
aur bheegi saari nagariya, sab nritya kare sang sang
tore baan lage nas nas mein, nahi praan more abb bas mein
mann duba prem ke ras mein, huwa prem magan kan kan
ho bebe bebe saupa tujhako tan mann
mann ko ati bhaave saiyaan -2 kar ta ta thaiya
mann gaaye re haaye re haaye re haaye re
hum priytam hriday basaiya paagal ho gaiyaan
mann gaaye re haaye re haaye re haaye re

kya uthal putal baawara sa pal, saanson pe sargam ka tyauhaar hai
banake main pawan chum lu gagan, ho rituo pe abb mera adhikaar hai
sandesh kiya priytam ne, aadesh kiya dhadkan ne
sabn vaar diya phir hamane, huwa safal safal jivan
adharon se woh muskaayi kaaya se woh sakuchaayi
phir thoda nikat woh aayi, tha kaisa adbhud kshan
o bebe bebe main hoon sampurna magan
mann ko ati bhaave saiyaan -2 kar ta ta thaiya
mann gaaye re haaye re haaye re haaye re
hum priytam hriday basaiya paagal ho gaiyaan
mann gaaye re haaye re haaye re haaye re

ho pushp aa gaye khil khila gaye, utsav manaata hai saara chaman
chandrama jhuka surya bhi ruka, dishaaye mujhe kar rahi hai naman
tune jo thaami baiyaan sabne li meri balaiyaan
sud budh meri kho gaiyaan, ho rom rom ubhavan
jab bich fasl lehraayi, dharati ne li angdaayi
aur milan bajariya chhaayi, kasake barasa saawan
o bebe bebe main hoon sampurna magan
mann ko ati bhaave saiyaan -2 kar ta ta thaiya
mann gaaye re haaye re haaye re haaye re
hum priytam hriday basaiya paagal ho gaiyaan
haaye re haaye re
jo maari nain kankariya toh chhalaki prem gagariya
aur bheegi saari nagariya, sab nritya kare sang sang
tore baan lage nas nas mein, nahi praan more abb bas mein
mann duba prem ke ras mein, huwa prem magan kan kan
ho bebe bebe saupa tujhako tan mann
mann ko ati bhaave saiyaan -2 kar ta ta thaiya
mann gaaye re haaye re haaye re haaye re
hum priytam hriday basaiya paagal ho gaiyaan
mann gaaye re haaye re haaye re haaye re

05 Khwaab Ko Raag De Song Lyrics

Hindi Song: Khwaab Ko Raag De
Movie or Album: London Dreams
Singer(s): Rahat Fateh Ali Khan, Shankar Mahadevan
Music Director(s): Shankar-Ehsaan-Loy
Lyricist(s): Prasoon Joshi

jo tujhe jagaaye, nindein teri udaaye khwaab hai sachcha wahi
nindon mein jo aaye jise to bhul jaaye khawab woh sachcha nahi
khwaab ko raag de, nind ko aag de o o o
angaaron ko jagaaye, koyalo sa jo gaaye, khwaab hai sachcha wohi
leharein jo uthaaye -2 paaniyo ko hilaaye, khwaab hai sachcha wohi
khwaab ko raag de, nind ko aag de o o o

manjilon pe tyuahaar hai, lekin woh haar hai
kya khusi apano ke bin
hai adhuri har jeet bhi, sargam sangeet bhi
adhura hai apano ke bin
khaabon ke baadal chhaane do lekin
rishton ki lau ko bachaake barasana
kehati hai hawaayein chum le gagan ko
pankho ko khol tu chhod na tarasna
khwaab ko raag de, nind ko aag de o o o
na na na na na ra ra ra ra ra
la ra ra la la la ra ra

khwaab ko raag de, nind ko aag de o o o
khwaab ko khaab ko raag de, nind ko aag de, aag de o o o
live your live your live you, london dreams - (4)

06 Khaanabadosh Khaanabadosh Song Lyrics

Hindi Song: Khaanabadosh Khaanabadosh
Movie or Album: London Dreams
Singer(s): Mohan
Music Director(s): Shankar-Ehsaan-Loy
Lyricist(s): Prasoon Joshi

(khaanabadosh khaanabadosh
phirate hai hum khaabon ke sang liye london dreams) - (2)

hain honto pe siti, pairon mein safar hai
hai door manjil saath bas hunar hai
gungunaayenge hum chalate jaayenge hum
jab tak dekhe na sune na samajhe na maane na yeh saara jahaan
aajama le aa ho aajama le aa - (2)
peshewar hawa mushkilein sada
khwaab na sake jindagi thage, phir bhi jaane kyun ummid jage

(khaanabadosh khaanabadosh
phirate hai hum khaabon ke sang liye london dreams) - (2)

ham toh nadi taal ke lehare uchhaal ke
rehate wahin jahaan behate hai hum
dil ki suraayi saundhi saundhi gehraayi jahaan chhalake hai
geet jinhe kehate hai hum
aajama le aa ho aajama le aa - (2)
peshewar hawa mushkilein sada
khwaab na sake jindagi thage, phir bhi jaane kyun ummid jage

aasmaan se chhanati hai aandhiyon se banati hai
thokaron mein hai apani toh mastiyaan
saagaron ke yaar hai jhumanein se pyaar hai
dolate rahenge hai aawaara kashtiyaan
aajama le aa ho aajama le aa - (2)
peshewar hawa mushkilein sada
khwaab na sake jindagi thage, phir bhi jaane kyun ummid jage
(khaanabadosh khaanabadosh
phirate hai hum khaabon ke sang liye london dreams) - (4)
khaanabadosh

07 Jashn Hai Jeet Ka Song Lyrics

Hindi Song: Jashn Hai Jeet Ka
Movie or Album: London Dreams
Singer(s): Abhijeet Ghoshal
Music Director(s): Shankar-Ehsaan-Loy
Lyricist(s): Prasoon Joshi

sun le khuda gaur se jara, aasama mera abb aasama mera
nind todake khaab udd gaye, aasama mera abb aasama mera
aasama mera abb aasama mera - (2)
baadal binch ke hont kar kiye
aasama mera abb aasama mera - (2)
ho main toh akele chal diya, haathon mein leke patwaar
maajhi pe mujhako nahi, haan thod sa bhi aitbaar
jashn hai jeet ka jeet ka jeet ka - (4)

chhaale kahin talawon mein chubhein bhaale kahin
jalati huyi kahin thi jamin
taale kayi dard ya phir sambhaale kayi
faasalon mein nahi thi kami
hum abhi ad gaye, aandhiyon se lad gaye
maine dhakelake andhere, chhin ke le li roshani
mere hi hisse ke sabere mere hisse ki jindagi
jashn hai jeet ka jeet ka jeet ka - (2)

08 Baraso Baraso Yaaro Baraso Re Song Lyrics

Hindi Song: Baraso Baraso Yaaro Baraso Re
Movie or Album: London Dreams
Singer(s): Roop Kumar Rathod, Vishal Dadlani
Music Director(s): Shankar-Ehsaan-Loy
Lyricist(s): Prasoon Joshi

khushiyon ki leharein gaaye, dil ke taabu tak aaye
dub jaane ki rut hai aaja pyaar mein ghul jaaye
aaj na khud ko roko pyaar mein khud ko jhonko
shikawo ke saare parade khinch lo
aasmaan pe chhaana hai gungunaana hai
ban ja baadal dil kehata hai, bheeg ja bheeg ja yaara
baraso baraso yaaro baraso re, banake pyaar yaaro baraso re - (2)

cheharon pe dhup malo, saagaron pe jhum chalo
mausam ke chhinte bikharane do, saare najaare sawarane do
aasama pe ho o o aasmaan pe chhaana hai gungunaana hai
ban ja baadal dil kehata hai, bheeg ja bheeg ja yaara
baraso baraso yaaro baraso re, banake pyaar yaaro baraso re - (2)

laakh takeda ishq hai yaaron, ishq fawaare kare ishaare
akhiyon wich sadak bana le duniya teri mehmaan hai
tu dil ka mehal saja le duniya teri mehmaan hai
?? lagaale duniya teri mehmaan hai
yeh dil bada hai nagine jada hai
toh jashn manaao mere dil mein jaam uthaao
iss mehfil mein jakhm baant loon dard chhaant loon
ghum ko pis loon, khushi chaat loon
nafarat ki iss jindagi mein na koyi data
khushiyon ki leharein gaaye, dil ke taabu tak aaye
dub jaane ki rut hai aaja pyaar mein ghul jaaye
aaj na khud ko roko pyaar mein khud ko jhonko
shikawo ke saare parade khinch lo
aasmaan pe chhaana hai gungunaana hai
ban ja baadal dil kehata hai, bheeg ja bheeg ja yaara
baraso baraso yaaro baraso re, banake pyaar yaaro baraso re - (2)
ishq ke waale khet mein chal, fasalon sa jhum machal
aaja mangaaye hawaao ko, aaja saja le fajaao ko aaja na
aasmaan pe chhaana hai gungunaana hai
ban ja baadal dil kehata hai, bheeg ja bheeg ja yaara
baraso baraso yaaro baraso re, banake pyaar yaaro baraso re - (2)
ho dil mein langar khol de, jo aaye mehmaan
do din ki hai jindagi ?? lambi ??
jai hanumaan gyaan gun saagar, jay tapish tihu lok ujaagar - (2)
raam dut atulit baldhaama, anjan putra pawan sut naama
mahebeer bikram bajrangi, kumati nivaar sumati ke sangi
kanchan baran biraaj subesaa, kanan kundal kunchit kesa
jai hanumaan gyaan gun saagar, jay tapish tihu lok ujaagar
hanuman ki jay, pawansut hanuman ki jay
maano hanuman ki jay, pawansut hanuman ki jay